āñkheñ banātā dasht kī vus.at ko dekhtā
hairat banāne vaale kī hairat ko dekhtā
hotā na koī kār-e-zamāna mire supurd
bas apne kārobār-e-mohabbat ko dekhtā
kar ke nagar nagar kā safar is zamīn par
logoñ kī būd-o-bāsh o rivāyat ko dekhtā
aatā agar ḳhayāl shajar chhāñv meñ nahīñ
ghar se nikal ke dhuup kī hiddat ko dekhtā
yuuñ lag rahā thā maiñ koī sahrā kā peḌ huuñ
us shaam to agar mirī hālat ko dekhtā
'ahmad' vo izn-e-dīd jo detā to ek shaam
ḳhud par guzarne vaalī aziyyat ko dekhtā