vo ek ḳhvāb ki āñkhoñ meñ jagmagā rahā hai
charāġh ban ke mujhe raushnī dikhā rahā hai
vo sirf haq jo mire lab se āshkār huā
sukūt-e-dair meñ ik umr gūñjtā rahā hai
mire suḳhan meñ jo ik lau sī thartharātī hai
charāġh-e-shab se mirā bhī mukālima rahā hai
mire liye ye ḳhad-o-ḳhāl kī haqīqat kyā
vo ḳhaak huuñ ki jise chaak phir bulā rahā hai
maiñ sochtā huuñ koī dasht kyā sameTegā
vo vahshateñ haiñ mujhe ḳhud bhī ḳhauf aa rahā hai
suḳhan ke ā.īna-ḳhāne ko ḳhair ho 'shahbāz'
zamāna sañg-ba-kaf hai idhar ko aa rahā hai