kisī ne dekh liyā thā jo saath chalte hue
pahuñch ga.ī hai kahāñ jaane baat chalte hue
safar safar hai kabhī rā.egāñ nahīñ hotā
sar-e-sahar chalī aa.ī hai raat chalte hue
sunā hai tum bhī isī dasht-e-ġham se guzre ho
so ham ne kī hai baḌī ehtiyāt chalte hue
ham apnī ukhḌī huī sāñsoñ ko bahāl kareñ
kahīñ rakhe to sahī kā.enāt chalte hue
havā rukī to ajab husn thā magar 'shahbāz'
girā ga.ī hai ka.ī sūkhe paat chalte hue