shab Dhale gumbad-e-asrār meñ aa jaatā hai
ek saaya dar-o-dīvār meñ aa jaatā hai
maiñ abhī ek havāle se use dekhtā huuñ
daf.atan vo na.e kirdār meñ aa jaatā hai
yuuñ shab-e-hijr shab-e-vasl meñ Dhal jaatī hai
koī mujh sā mirī guftār meñ aa jaatā hai
mujh sā dīvāna koī hai jo tire naam ke saath
raqs kartā huā bāzār meñ aa jaatā hai
jab vo kartā hai na.e Dhab se mirī baat ko radd
lutf kuchh aur bhī guftār meñ aa jaatā hai
dekhnā us ko bhī paḌtā hai miyāñ duniyā meñ
sāmne jo yūñhī be-kār meñ aa jaatā hai
ek din qais se jā miltā hai vahshat ke tufail
jo bhī is dasht-e-suḳhan-zār meñ aa jaatā hai
maiñ kabhī ḳhud ko agar DhūñDhnā chāhūñ 'ahmad'
dūsrā ma.ariz-e-iz.hār meñ aa jaatā hai