safar kā ek nayā silsila banānā hai
ab āsmān talak rāsta banānā hai
talāshte haiñ abhī ham-safar bhī kho.e hue
ki manziloñ se udhar rāsta banānā hai
sameTnā hai abhī harf harf husn tirā
ġhazal ko apnī tirā ā.īna banānā hai
mujhe ye zid hai kabhī chāñd ko asiir karūñ
so ab ke jhiil meñ ik dā.era banānā hai
sukūt-e-shām-e-alam tū hī kuchh batā ki tujhe
kahāñ pe ḳhvāb kahāñ rat-jagā banānā hai
usī ko aañkh meñ tasvīr karte rahte haiñ
ab us se haT ke hameñ aur kyā banānā hai
dar-e-havas pe kahāñ tak jhukā.eñ sar 'shahbāz'
zarūratoñ ko kahāñ tak ḳhudā banānā hai