so gayā oḌh ke phir shab kī qabā.eñ sūraj
jin ke dāman pe chhiḌaktā thā ziyā.eñ sūraj
aaj tak raakh sameTī nahīñ jaatī apnī
ham ne chāhā thā hathelī pe sajā.eñ sūraj
aañkh bujh jaa.e to ik jaise haiñ saare manzar
apnī bīnā.ī ke dam se haiñ ghaTā.eñ sūraj
merī palkoñ pe larazte hue aañsū motī
mere bujhte hue hoñToñ pe duā.eñ sūraj
zindagī jin kī ho sahrā kī masāfat 'shahbāz'
aise logoñ ko kabhī raas na aa.eñ sūraj