sadā-e-muzhda-e-lā-taqnatū ke dhāre par
charāġh jalte rahe aas ke mīnāre par
ajiib ism thā lab par ki paañv uThte hī
maiñ ḳhud ko dekhtā thā arsh ke kināre par
ajiib umr thī sadiyoñ se rahan rakkhī huī
ajiib saañs thī chaltī thī bas ishāre par
vo ek aañkh kisī ḳhvāb kī tamannā meñ
vo ek ḳhvāb ki rakkhā huā sharāre par
isī zamīn kī jānib palaT ke aanā thā
utar bhī jaate agar ham kisī sitāre par
matā-e-harf kahīñ be-asar nahīñ 'shahbāz'
ye kā.enāt bhī hai kun ke isti.āre par