mushkil to na thā aisā bhī aflāk se rishta
toḌā hī nahīñ ham ne magar ḳhaak se rishta
har sub.h kī qismat kahāñ ruḳhsār kī laalī
har shab kā kahāñ dīda-e-namnāk se rishta
baḳhshī hai tujhe jis ne ḳhad-o-ḳhāl kī daulat
hai mere badan kā bhī isī chaak se rishta
chhoḌā hai kise fikr ke dariyā ne salāmat
raas aayā kise mauja-e-idrāk se rishta
'shahbāz' maiñ dhartī se huuñ mansūb kuchh aise
jaise ki kisī jism kā poshāk se rishta