kaḌe haiñ hijr ke lamhāt us se kah denā
bikhar rahī hai mirī zaat us se kah denā
havā-e-mausam-e-ġham us ke shahr jaa.e to
mire dukhoñ kī koī baat us se kah denā
ye vahshateñ ye udāsī ye ratjagoñ ke azaab
usī kī haiñ ye ināyāt us se kah denā
vo dil kī baazī jahāñ mujh se jītnā chāhe
maiñ maan lūñgā vahīñ maat us se kah denā
vafā kī raah meñ maiñ aaj bhī akelā huuñ
koī nahīñ hai mire saath us se kah denā
jahāñ pe adl kī zanjīr nasb hai 'shahbāz'
vahīñ kaTe haiñ mire haat us se kah denā