ḳhāk-zāda huuñ magar tā-ba falak jaatā hai
merā idrāk bahut duur talak jaatā hai
terī nisbat ko chhupātā to bahut huuñ lekin
terā chehra mirī āñkhoñ se jhalak jaatā hai
ik haqīqat se ubhar aatā hai har shai kā vajūd
ek jugnū se añdherā bhī chamak jaatā hai
yuuñ to mumkin nahīñ dushman mire sar par pahuñche
pahre-dāroñ meñ koī aañkh jhapak jaatā hai
maiñ faqat ḳhaak pe rakhtā huuñ jabīñ ko 'shahbāz'
āsmāñ ḳhud hī mirī samt sarak jaatā hai