Shahbaz Khwaja

kab gawara hai mujhe aur kahin par chamke

Shahbaz Khwaja

kab gavārā hai mujhe aur kahīñ par chamke
merā sūraj hai to phir merī zamīñ par chamke
kitne gulshan ki saje the mire iqrār ke naam
kitne ḳhanjar ki mirī ek nahīñ par chamke
jis ne din bhar kī tamāzat ko sameTā chup-chāp
shab ko taare bhī usī dasht-nashīñ par chamke
ye tirī bazm ye ik silsila-e-nik.hat-o-nūr
jitne tārīk muqaddar the yahīñ par chamke
yuuñ bhī ho vasl kā sūraj kabhī ubhre aur phir
shām-e-hijrāñ tire ik ek makīñ par chamke
aañkh kī zid hai ki palkoñ pe sitāre TūTeñ
dil kī ḳhvāhish ki har ik zaḳhm yahīñ par chamke
Top Urdushayar.com