Ahmad Rizwan

baat karne ka nahin samne aane ka nahin

Ahmad Rizwan

Multan, Punjab, Pakistan

1978
baat karne kā nahīñ sāmne aane kā nahīñ
vo mujhe merī aziyyat se bachāne kā nahīñ
duur ik shahr hai jo paas bulātā hai mujhe
varna ye shahr kahīñ chhoḌ ke jaane kā nahīñ
kyā yūñhī raat ke pahlū meñ kaTegī ye hayāt
kyā koī shahr ke logoñ ko jagāne kā nahīñ
ajnabī log haiñ maiñ jin meñ ghirā rahtā huuñ
āshnā koī yahāñ mere fasāne kā nahīñ
ye jo ik shahr hai ye jis pe tasarruf hai mirā
maiñ yahāñ koī bhī dīvār banāne kā nahīñ
baad muddat ke jo aayā thā vahī lauT gayā
ab yahāñ koī charāġhoñ ko jalāne kā nahīñ
aane vaalī hai na.ī sub.h zarā der ke baad
kyā koī rāh-e-tamannā ko sajāne kā nahīñ
Top Urdushayar.com