vafā kā shauq ye kis intihā meñ le aayā
kuchh aur daaġh maiñ apnī qabā meñ le aayā
mire mizāj mire hausle kī baat na kar
maiñ ḳhud charāġh jalā kar havā meñ le aayā
dhanak libās ghaTā zulf dhuup dhuup badan
tumhārā milnā mujhe kis fazā meñ le aayā
vo ek ashk jise rā.egāñ samajhte the
qubūliyat kā sharaf vo duā meñ le aayā
falak ko chhoḌ ke ham dar-ba-dar na the 'shahbāz'
zamīñ se TūTnā ham ko ḳhalā meñ le aayā