apne badan ko chhoḌ ke pachhtāoge miyāñ
bāhar havā hai tez bikhar jāoge miyāñ
ḳhud ko lapeTe rahnā zamāna ḳharāb hai
zāhir kiyā to luuT liye jāoge miyāñ
jhūToñ kī bārgāh baḌī mo'atabar sahī
lekin parā.e shahr meñ kho jāoge miyāñ
phislā jo pair soch kī ūñchī chaTān se
gadlī fazā meñ ghulte chale jāoge miyāñ
mujh ko to lā-shu.ūr kā irfān ho gayā
ab socho mujh se bach ke kahāñ jāoge miyāñ