har ek shaḳhs ke vijdān se ḳhitāb kare
na.e libās kī ḳhvāhish nayā badan DhūñDe
samundaroñ meñ utarte chale ga.e lekin
kasāfatoñ ke jarāsīm saath saath rahe
na jaane kaun ġham-e-kā.enāt se chhup kar
mire vajūd meñ baiThā hai kunDalī maare
shu.ūrī taur par irfān-e-zāt kī ḳhātir
kabhī jo sar ko uThāyā to TūT-phūT ga.e
ta.alluqāt kī zanjīreñ TūTtī hī nahīñ
hameñ pukār rahe haiñ ḳhalā ke bāshinde