har aa.ine meñ tire ḳhadd-o-ḳhāl aate haiñ
ajiib rañj tire āshnā uThāte haiñ
tamām umr kise kaun yaad rakhtā hai
ye jānte haiñ magar hausla baḌhāte haiñ
visāl-o-hijr kī sab tohmateñ usī tak thiiñ
ab aise ḳhvāb bhī kab dekhne meñ aate haiñ
ye lahr lahr kise DhūñDtī hai mauj-e-havā
ye regzār kise aa.ina dikhāte haiñ
shikast-e-jāñ ko abhī e'tibār-e-jāñ hai bahut
sarāb-e-dasht meñ dariyā ke ḳhvāb aate haiñ
agar mile haiñ vo lamhe to un kī qadr karo
mohabbatoñ ke ye mausam guzar bhī jaate haiñ
jo mil ga.e haiñ unheñ bhūlnā zarūrī hai
mile nahīñ haiñ jo chehre vo yaad aate haiñ
guzar rahī hai yūñhī shām-e-zindagī 'sājid'
ki ik charāġh jalāte haiñ ik bujhāte haiñ