Ahmad Rizwan

kisi ko chhoD deta hun kisi ke sath chalta hun

Ahmad Rizwan

Multan, Punjab, Pakistan

1978
kisī ko chhoḌ detā huuñ kisī ke saath chaltā huuñ
maiñ chaltā huuñ to phir vābastagī ke saath chaltā huuñ
sitāre bāñTne vaale kisī pal lauT ā.eñge
chalo kuchh der yūñhī tīrgī ke saath chaltā huuñ
mujhe ye kyā paḌī hai kaun merā ham-safar hogā
havā ke saath gaatā huuñ nadī ke saath chaltā huuñ
vo kahte haiñ zamāna tez hai lambī masāfat hai
mohabbat kā sitārā huuñ sabhī ke saath chaltā huuñ
badalte mausamoñ kā ḳhvāb huuñ kitne zamānoñ se
yahāñ maiñ kārvān-e-zindagī ke saath chaltā huuñ
manāzir rok lete haiñ mire uThte qadam 'ahmad'
zarā sā bhī agar begānagī ke saath chaltā huuñ
Top Urdushayar.com