Shuoor Bilgrami

tujh tak guzar kisi ka ai gul-badan na dekha

Shuoor Bilgrami

tujh tak guzar kisī kā ai gul-badan na dekhā
bād-e-sabā ne ab tak terā chaman na dekhā
mailā ho rañg us kā gar chāñdnī meñ nikle
chashm-e-falak ne aisā nāzuk-badan na dekhā
uryāñ na vo nahāyā hammām ho ki dariyā
chashm-e-hubāb ne bhī us kā badan na dekhā
miltī hai mere dil ko qātil kī ḳhush-ḳhirāmī
dekhā zamāna lekin aisā chalan na dekhā
sau sau kiye bahāne jab roz-e-vāda aayā
ai hīlā-sāz tujh sā paimāñ-shikan na dekhā
qisse sune hazāroñ tasvīreñ dekhīñ lākhoñ
saj-dhaj sunī na aisī ye bāñkpan na dekhā
Top Urdushayar.com