muñh se jo milā.iye kisī ko
kyuuñ daaġh lagā.iye kisī ko
ā.īna-e-kaj-numā haiñ ahbāb
sūrat na dikhā.iye kisī ko
jo sūrat-e-zaḳhm ḳhuun ro de
aisā na hañsā.iye kisī ko
kuchh ḳhuub nahīñ hai ādat-e-zulm
hargiz na satā.iye kisī ko
dīvār se koī phoḌegā sar
dar se na uThā.iye kisī ko
mushtāq hai koī zer-e-dīvār
āvāz sunā.iye kisī ko
mushkil hai bigāḌ kar banānā
hargiz na miTā.iye kisī ko
is fikr meñ hai mirā parī-rū
dīvāna banā.iye kisī ko
hotā hai 'shu.ūr' dard dil meñ
phoḌā ye dikhā.iye kisī ko