Shuoor Bilgrami

jata hai yar sair ko gulzar ki taraf

Shuoor Bilgrami

jaatā hai yaar sair ko gulzār kī taraf
merī nigāh hai gul-e-ruḳhsār kī taraf
hotī hai mere sāmne tasvīr yaar kī
jab dekhtā huuñ maiñ dar-o-dīvār kī taraf
yā-rab ho ḳhair aaj ki kuchh dekhtā hai vo
merī taraf kabhī kabhī talvār kī taraf
kartā hai qatl āshiq-e-miskīñ ko bazm meñ
duzdīda dekhnā tirā aġhyār kī taraf
hasrat hai ye mareñ bhī jo qaid-e-qafas meñ ham
sayyād pheñk de hameñ gulzār kī taraf
chāk-e-qafas se dekh tū ai andalīb-e-zār
kuchh lag rahī hai aag sī gulzār kī taraf
Top Urdushayar.com