khā ke teġh-e-nigah-e-yār dil-e-zār girā
mardum-e-dīd pukāre ki vo sardār girā
vā.e-rusvā.ī-e-dil aam huī ishq kī bū
shīsha-e-mushk baġhal se sar-e-bāzār girā
na uThā ḳhāk-e-muzillat se kabhī misl-e-sarishk
jo nazar se tire ai shoḳh-e-jafā-kār girā
qadam andāze se bāhar na kabhī rakh ai dil
jo chalā dauḌ ke āḳhir dam-e-raftār girā
nā-tavānī ne batāyā hai namāzī mujh ko
maiñ ka.ī baar uThā aur ka.ī baar girā
ishva o ġhamza o andāz o adā haiñ qātil
kishvar-e-dil pe mire lashkar-e-jarrār girā