Shuoor Bilgrami

tum apne mariz-e-gham-e-hijran ki KHabar lo

Shuoor Bilgrami

tum apne marīz-e-ġham-e-hijrāñ kī ḳhabar lo
sauñpā hai agar dard to darmāñ kī ḳhabar lo
hañste ho abas hāl-e-pareshāñ pe hamāre
apnī to zarā zulf-e-pareshāñ kī ḳhabar lo
yuuñ aur mujhe ḳhalq meñ bad-nām karoge
bas hosh sambhālo bhī garebāñ kī ḳhabar lo
kis kaam ye aa.egī masīhā.ī tumhārī
ehsān karo āshiq-e-be-jāñ kī ḳhabar lo
phaile hue surme ko to rūmāl se pūchho
kyā vaz.a hai ye nargis-e-fatāñ kī ḳhabar lo
kahtā hai yahī tum se 'shu.ūr'-e-jigar-afgār
sauñpā hai agar dard to darmāñ kī ḳhabar lo
Top Urdushayar.com