jo shāna gesū-e-jānāñ meñ ham kabhū karte
tirī bhī ai dil-e-gum-gashta justujū karte
hamāre dil pe ye aafat na aatī ik sar-e-mū
pasand ham jo na vo zulf-e-mushkbū karte
siyāh-baḳht-e-azal huuñ kahāñ haiñ aaise nasīb
ki qatl kar ke mujhe aap sruḳh-rū karte
ye aarzū rahī dil meñ hamāre tā-dam-e-naza.a
jo aatā yaar to kuchh us se guftugū karte