Shuoor Bilgrami

dil phaDak jaega wo shoKH jo KHandan hoga

Shuoor Bilgrami

dil phaḌak jā.egā vo shoḳh jo ḳhandāñ hogā
apne ḳhirman ko na is barq se nuqsāñ hogā
sub.h-e-mahshar kā agar chaak garebāñ hogā
mere mātam meñ sar-e-hūr bhī uryāñ hogā
munkir-e-sajda-e-ādam ko pashemānī hai
vo na samjhā thā ki ye rutba-e-insāñ hogā
ḳhaak suljhegī tirī zulf mirī jānib se
kaun juz bād-e-sabā silsila-e-jumbāñ hogā
husn ke rashk se ho jā.eñge gul zard o safed
aur hī ālam-e-gul-hā-e-gulistāñ hogā
chashm-e-kāfir se tire hoñge musalmāñ kāfir
ḳham-e-abru se sanam gabr musalmāñ hogā
jab 'shu.ūr' us se kahā zaḳhm-e-jigar kaarī hai
kaj-adā.ī se vo yuuñ kahne lagā haañ hogā
Top Urdushayar.com