Ganesh Bihari Tarz

kitne jumle hain ki jo ru-posh hain yaron ke bich

Ganesh Bihari Tarz

Lucknow, Uttar pradesh, India

1932-2008
kitne jumle haiñ ki jo rū-posh haiñ yāroñ ke biich
ham bhī mujrim kī tarah ḳhāmosh haiñ yāroñ ke biich
kyā kaheñ kis ne bahāroñ ko ḳhizāñ-sāmāñ kiyā
dekhne meñ to sabhī gul-posh haiñ yāroñ ke biich
ye bhī sach hai ghar ke bhedī ne kiyā ghar ko tabāh
ye bhī lagtā hai ki sab nirdosh haiñ yāroñ ke biich
kyā pata kab ḳhuun kā pyāsā yahāñ ho jaa.e kaun
yuuñ to kahne ko sabhī mai-nosh haiñ yāroñ ke biich
haañ chalā ab sāqiyā jaadū bharī nazroñ ke tiir
ham bhī dekheñ kis qadar zī-hosh haiñ yāroñ ke biich
bazm-e-yārāñ hai ye saaqī mai nahīñ to ġham na kar
kitne haiñ jo mai-kada bar-dosh haiñ yāroñ ke biich
'tarz' paḌhtā hai koī jab jhuum kar nazm o ġhazal
aisā lagtā hai 'firāq' o 'josh' haiñ yāroñ ke biich
Top Urdushayar.com