ahl-e-dil ke vāste paiġhām ho kar rah ga.ī
zindagī majbūriyoñ kā naam ho kar rah ga.ī
ho ga.e barbād terī aarzū se pesh-tar
ziist nazr-e-gardish-e-ayyām ho kar rah ga.ī
tauba tauba us nigāh-e-mast kī sarshāriyāñ
derpā tauba bhī ġharq-e-jām ho kar rah ga.ī
us nigāh-e-nāz ko to koī kuchh kahtā nahīñ
aur mohabbat kī nazar badnām ho kar rah ga.ī
har ḳhushī tabdīl ġham meñ ho ga.ī tere baġhair
sub.h mujh tak aa.ī bhī to shaam ho kar rah ga.ī
rū-ba-rū un ke kahāñ thī fursat-e-iz.hār-e-ġham
lab ko ik jumbish barā.e naam ho kar rah ga.ī
un ke jalvoñ kī sahar to 'tarz' duniyā le ga.ī
gesuoñ kī shaam apne naam ho kar rah ga.ī