rah-e-ishq meñ ġham-e-zindagī kī bhī zindagī safarī rahī
kabhī nazr-e-ḳhāk-e-safar rahī kabhī motiyoñ se bharī rahī
tirī ik nigāh se sāqiyā vo bahār-e-be-ḳhabarī rahī
gul-e-tar vahī gul-e-tar rahā vahī Daal Daal harī rahī
tirī be-ruḳhī kī nigāh thī ki jo har ḳhatā se barī rahī
mirī aarzū kī sharāb thī ki jo jaam jaam bharī rahī
dam-e-marg bhī mirī hasrateñ had-e-ārzū se na baḌh sakīñ
usī kaale dev kī qaid meñ mire bachpane kī parī rahī
dil-e-ġham-zada pe guzar gayā hai vo hādsa ki mire liye
na to ġham rahā na ḳhushī rahī na junūñ rahā na parī rahī
vahī 'tarz' tujh pe rahīm hai ye usī kā faiz-e-karīm hai
ki asātiza ke bhī rañg meñ jo ġhazal kahī vo kharī rahī