sāmne āñkhoñ ke ghar kā ghar bane aur TuuT jaa.e
kyā kare vo jis kā dil patthar bane aur TuuT jaa.e
haa.e re un ke fareb-e-vāda-e-fardā kā jaal
dekhte hī dekhte ik dar bane aur TuuT jaa.e
hādsoñ kī Thokaroñ se chuur honā hai to phir
kyuuñ na ḳhāmoshī se dil sāġhar bane aur TuuT jaa.e
ham bhī le leñ lutf-e-tīr-e-nīm-kash gar vo nazar
aate aate qalb tak ḳhanjar bane aur TuuT jaa.e
un ke dāman kī havā bhī kis ko hotī hai nasīb
aaj har aañsū mirā gauhar bane aur TuuT jaa.e
yuuñ bikhartā hī rahā ai 'tarz' har sapnā mirā
sub.h jaise ḳhvāb kā manzar bane aur TuuT jaa.e