ek ujlī umañg uḌaa.ī thī
ham ne tum ne patañg uḌaa.ī thī
shaam bārish meñ tere chehre se
abr ne qaus-e-rañg uḌaa.ī thī
maiñ ne bachpan kī ḳhushbū-e-nāzuk
ek titlī ke sañg uḌaa.ī thī
apnī hī az-rah-e-tafannun-e-taba.a
dhajjī-e-nām-o-nañg aḌaa.ī thī
ḳhvāb ne kis ḳhumār kī ḳhāshāk
darmiyān-e-palañg uḌaa.ī thī
koī bairūnī aañch thī jis ne
andarūnī tarañg uḌaa.ī thī
chhīn kar ek dūsre kī baqā
ham ne taz.hīk-e-jañg uḌaa.ī thī
ehtimām-e-dhamāl kho baiThā
kis ne ḳhāk-e-malañg uḌaa.ī thī
mere chāroñ taraf laboñ kī dhanak
us ne lagte hī añg uḌaa.ī thī
ham ne pūchhā nahīñ hamārī anā
kis se ho kar dabañg uḌaa.ī thī
phuljhaḌī thī ki tere kūche meñ
taan gā kar talañg uḌaa.ī thī
ḳhud se thā bair paanī meñ rah kar
ham ne mauj-e-nahañg uḌaa.ī thī
ek din ham ne haath phailā kar
chādar-e-pā-e-tañg uḌaa.ī thī
parḳhache chāroñ or bikhre the
ik badan ne surañg uḌaa.ī thī
pheñk kar apne dostoñ kī taraf
izz-o-jāh-e-ḳhadañg uḌaa.ī thī
zā.iqa jā sakā na muñh se 'naved'
da.avat-e-shoḳh-o-shañg uḌaa.ī thī