Afzal Naved

Khaali hua gilas nasha sar mein aa gaya

Afzal Naved

Punjab, India

ḳhālī huā gilās nasha sar meñ aa gayā
dariyā utar gayā to samundar meñ aa gayā
yakjā.ī kā tilism rahā taarī TuuT kar
vo sāmne se haT ke barābar meñ aa gayā
jā kar jahāñ pe rakkhā thā honā kiyā durust
itnā sā kaam kar ke maiñ pal bhar meñ aa gayā
lekin baḌā.ī kā koī ehsās kab rahā
chakkar thā duniyā-dārī kā chakkar meñ aa gayā
aa jā ke munhasir rahā nigarānī par tamām
aksar se jā rahā kabhī aksar meñ aa gayā
yak gosha-e-vajūd meñ rakkhā qayām kuchh
bāhar baḌā fasād thā so ghar meñ aa gayā
TuuTā kahīñ se aur girā sahn meñ mire
saarā parinda yuuñ lagā is par meñ aa gayā
āvāz dūñgā saath mire aa sako to aao
thoḌā jo aur hālat-e-behtar meñ aa gayā
duniyā ke ḳhvāb dekhte guzrā tamām roz
uThte hī ḳhvāb-e-asl se daftar meñ aa gayā
jāgūñgā jab sadā-e-ulūhī sunūñgā kuchh
jānūñgā jab parinda sanobar meñ aa gayā
shāyad nazāre kī yahī be-hayyatī rahī
manzar se jaane par koī manzar meñ aa gayā
hilnā paḌe na taaki kisī rañj par mujhe
saare kā saarā maiñ kisī patthar meñ aa gayā
ḳhud ko qayām karne pe tarġhīb dūñgā maiñ
koī jo ism kal mire mantar meñ aa gayā
be-martaba bhī saañs kā lenā girāñ na thā
taqdīs kā ḳhayāl muqaddar meñ aa gayā
bāzār meñ nigāh na dil par paḌī tirī
nāyāb jins-e-dahr thā vāfar meñ aa gayā
sayyārgāñ to apnī ravish par the gāmzan
lekin 'naved' tū kahāñ chakkar meñ aa gayā
Top Urdushayar.com