Afzal Naved

hai usi shahr ki galiyon mein qayam apna bhi

Afzal Naved

Punjab, India

hai usī shahr kī galiyoñ meñ qayām apnā bhī
ek taḳhtī pe likhā rahtā hai naam apnā bhī
bhīgtī rahtī hai dahlīz kisī bārish meñ
dekhte dekhte bhar jaatā hai jaam apnā bhī
ek to shaam kī be-mehr havā chaltī hai
ek rahtā hai tire kū meñ ḳhirām apnā bhī
koī aahaT tire kūche meñ mahak uThtī hai
jaag uThtā hai tamāshā kisī shaam apnā bhī
ek bādal hī nahīñ bār-e-garāñ se nālāñ
sargirāñ rahtā hai ik zor kalām apnā bhī
koī rasta mire vīrāne meñ aa jaatā hai
usī raste se nikaltā hai davām apnā bhī
ek dil hai ki jise yaad haiñ bāteñ apnī
ek mai hai ki jise raas hai jaam apnā bhī
yūñhī logoñ ke pas-o-pesh meñ chalte chalte
gard uḌtī hai bikhar jaatā hai naam apnā bhī
mubtalā kār-e-shab-o-roz meñ hai shahr 'naved'
aur isī shahr meñ gum hai koī kaam apnā bhī
Top Urdushayar.com