ham ne kuchh pañkh jo dālān meñ rakh chhoḌe haiñ
panchhī aa jā.eñge is dhyān meñ rakh chhoḌe haiñ
sar-bulandī ho ki ai rahguzar-e-dil ham ne
saare jhagḌe hī tirī shaan meñ rakh chhoḌe haiñ
aisā āshob-e-tavāzun thā ki patthar saare
kheñch kar palla-e-mīzān meñ rakh chhoḌe haiñ
sochtā huuñ ki vo īmān hī le aa.e kabhī
raḳhne kuchh aise bhī īmān meñ rakh chhoḌe haiñ
rakh liye rauzan-e-zindāñ pe parinde saare
jo na vaañ rakhne the dīvān meñ rakh chhoḌe haiñ
aise kuchh din bhī the jo ham se guzāre na ga.e
vāpsī ke kisī sāmān meñ rakh chhoḌe haiñ
aaj kā din hai kisī bād-e-hinā chalne kā din
aaj ke lamhe isī shaan meñ rakh chhoḌe haiñ