paanī shajar pe phuul banā dekhtā rahā
aur dasht meñ babūl banā dekhtā rahā
ayyām ke ġhubār se niklā to der tak
maiñ rāstoñ ko dhuul banā dekhtā rahā
tū bāzuoñ meñ bhar ke gulāboñ ko so rahī
maiñ bhī ḳhizāñ kā phuul banā dekhtā rahā
koñpal se ek lab se farāmosh ho ke maiñ
kis guftugū meñ tuul banā dekhtā rahā
bāda-kashoñ ke ḳhuuñ se chhalaktā thā mai-kada
ḳhamiyāza-e-malūl banā dekhtā rahā
pichhle khañDar se agle khañDar tak thā intizār
maiñ aatmā kī bhuul banā dekhtā rahā
nām-o-numūd haft-jihat sauñp kar mujhe
sūraj dhanak meñ dhuul banā dekhtā rahā
thā sabza-e-kashīda daraḳhtoñ ke darmiyāñ
nā-qābil-e-qubūl banā dekhtā rahā
tajsīm-e-nau-ba-nau kā karishma thā aur hī
maiñ apnā sā usuul banā dekhtā rahā
lauh-o-qalam kī ḳhair-segālī ke vāste
shīrāza-e-nuzūl banā dekhtā rahā
bante hī miT gayā thā ḳhabar hī na ho sakī
maiñ naqsh ko fuzūl banā dekhtā rahā
chuTkī se baḌh ke thā na hajam phir bhī maiñ 'naved'
āmeze meñ hulūl banā dekhtā rahā