Afzal Naved

dikhai de ki shua-e-basir khinchta hun

Afzal Naved

Punjab, India

dikhā.ī de ki shuā-e-basīr khīñchtā huuñ
ġhubār khīñch jigar kā lakīr khīñchtā huuñ
dikhā.ī detā huuñ tanhā safīne meñ lekin
kināre lagte hī jamm-e-ġhafīr khīñchtā huuñ
mire jilau se koī kahkashāñ nahīñ bachtī
maiñ khīñchne pe jo aa.uuñ aḳhīr khīñchtā huuñ
umaD paḌī hai jo yaksar ḳhizāñ ke dhāre se
gulābī-e-nigah-e-nā-guzīr khīñchtā huuñ
fishār paḌtā hai gahrā koī rag-o-pai meñ
kalī kalī se subū-e-abīr khīñchtā huuñ
ki jaise ḳhud se mulāqāt ho nahīñ paatī
jahāñ se uTThā huā hai ḳhamīr khīñchtā huuñ
hazāroñ aa.ine har lahza ḳhālī hote haiñ
palaT palaT ke vahī aks-e-pīr khīñchtā huuñ
mufāhamat se jo had paar ho to ho jaa.e
bañdhā huā rag-e-jāñ se zamīr khīñchtā huuñ
jin āsmānoñ meñ sayyāl-e-vaqt sākit hai
kamand Daal vahāñ jū-e-shīr khīñchtā huuñ
magar havā-o-havas par hī ḳharch ho jaa.e
har ek jhoñke se bād-e-kasīr khīñchtā huuñ
irāde bhāñp tire jā dhaḌaktā hai dar par
paḌā huā pas-e-zindāñ asiir khīñchtā huuñ
baġhair bhed na an-honī se bachā jaa.e
palaT ke aatā hai aksar jo tiir khīñchtā huuñ
tilism-e-zulf hifāzat kā piñjra ho jaise
maze jahān ke ho kar asiir khīñchtā huuñ
ye dekh kār-e-jahāñ ne na dhajjiyāñ chhoḌīñ
tirī galī kī taraf ab sharīr khīñchtā huuñ
'naved' kar to diyā shahr-e-ā.ina pāmāl
ab andarūnī saf-e-dār-o-gīr khīñchtā huuñ
Top Urdushayar.com