Afzal Naved

makan-e-KHwab mein jangal ki bas rahne lagi

Afzal Naved

Punjab, India

makān-e-ḳhvāb meñ jañgal kī baas rahne lagī
koī na aayā to zīnoñ pe ghaas rahne lagī
tire vajūd kā jab se libās rahne lagī
liye diye hue mujh se kapās rahne lagī
ye aur baat anokhī sī pyaas rahne lagī
mirī zabān pe us kī miThās rahne lagī
jhalak thī yā koī ḳhushbū-e-ḳhadd-o-ḳhāl thī vo
chalī ga.ī to mire aas paas rahne lagī
gayā hujūm liye bāz-dīd naqsh-e-qadam
havā-e-rāhguzar bad-havās rahne lagī
zarā.e jo the mayassar hue ġhubār-e-shanāḳht
darūñ se chashm-e-darūñ nā-shanās rahne lagī
abhī ġhubār na utrā thā saañs kā andar
utarne kī pas-e-zindāñ bhaḌās rahne lagī
utaar pheñk diyā jo thā jism-e-bosīda
sitāroñ kī koī utran libās rahne lagī
zyāda zor lagāne se kuchh na ho saktā
so aa.e roz kī halchal hī raas rahne lagī
lahad ne dāman-e-yaḳh-basta khol kar rakkhā
badan meñ garmī-e-ḳhauf-o-hirās rahne lagī
na jaane andhe kuoñ kī vo tishnagī thī kyā
har ek aañkh meñ jo be-libās rahne lagī
bigāḌ jis se ho paidā koī bigāḌ nahīñ
so mo.ajize kī mire dil ko aas rahne lagī
muġhā.irat se bharī tīrgī ke biich 'naved'
ik andarūnī ramaq rū-shanās rahne lagī
Top Urdushayar.com