dasht tārīk thā aur ḳhvāb thā kaalā merā
raushnī detā rahā kaan kā baalā merā
kāTnā thā mujhe koh-e-shab-e-ġhurbat lekin
TuuT kar girtā rahā raah meñ bhālā merā
tujh ko ma.alūm na thī chāk-garebānī mirī
tū ne is dasht meñ kyoñ naam nikālā merā
ātishīñ rakhtī hai yaañ garmī-e-raftār mujhe
huuñ mah-e-ḳhāk-nashīñ gard hai haalā merā
lā-makāñ ne mujhe pheñkā hai makāñ kī had meñ
kis se paḌtā hai yahāñ dekhiye paalā merā
manzil-e-ishq na ḳhāk-e-shab-e-hijrāñ meñ milī
jāda-e-rañj meñ khiñchtā rahā naala merā
dast-e-shaffāf pe likhtā hai mirā naam koī
shāḳh-e-sarsabz pe khultā hai ujālā merā
mujh ko gar kār-e-mohabbat meñ zarā der huī
aa gayā karne koī aur izāla merā
paar kar jaa.e ye shāyad kisī din jū-e-ḳhāk
jism ko chāhiye kuchh aur sambhālā merā
shahr-e-maujūd dhuāñ hai mire bujhne se 'naved'
shahr-e-nābūd meñ rahtā hai ujālā merā