apne hī tale aa.ī zamīnoñ se nikal kar
aa jaatā huuñ shāḳhoñ pe dafīnoñ se nikal kar
darvāze the kuchh aur bhī darvāze ke pīchhe
barsoñ pe ga.ī baat mahīnoñ se nikal kar
so jaatī hai bastī to makāñ pichhlī galī meñ
tanhā khaḌā rahtā hai makīnoñ se nikal kar
kis sub.h-e-tamāshā kā bachāyā huā sajda
ruḳh par chalā aatā hai jabīnoñ se nikal kar
aisī koī āsān hai dīvāngī yaaro
aa.ī bhī to aa.egī qarīnoñ se nikal kar
vo aur koī abr hai jo khultā nahīñ hai
sar par jo khaḌā rahtā hai sīnoñ se nikal kar
muddat se mire rāste meñ aayā huā hai
patthar sā koī tere nagīnoñ se nikal kar
ik roz jo dīvār thī vo ham ne girā dī
paanī meñ chale aa.e safīnoñ se nikal kar
ye dekh mirā naḳhl-e-kutub-hā-e-daraḳhshāñ
jo phail gayā ḳhuun pasīnoñ se nikal kar
aa jaate haiñ sāhil pe dikhāne hameñ muñh log
tārīkī meñ Duube hue zīnoñ se nikal kar
ik den hai ham jaisoñ kī āshufta-sarī ko
tham rahtā hai āfāq pe dīnoñ se nikal kar
zerīñ kahīñ rahtī hai tapasyā se bharī lahr
budh aur hai andoh-nashīnoñ se nikal kar
mismār ajā.ib jo huā jañg-o-jadal se
miTTī ke zarūf aa ga.e mīnoñ se nikal kar
hamrāh asāsoñ kī kahāñ DhūñD sakeñge
aayā na agar saañp ḳhazīnoñ se nikal kar
atrāf-e-dar-o-bām hī le baiTheñge mujh ko
gar qasd-e-chahārum na ho tīnoñ se nikal kar
phir sāmnā hogā mirā apnī hī mashīñ se
aayā bhī jo bil-farz mashīnoñ se nikal kar
duniyā ko piro.egā 'naved' ek laḌī meñ
aa.egā koī ḳhāk-nashīnoñ se nikal kar