Afzal Naved

ek dhan ko ek dhan se alag kar lun aur gaun

Afzal Naved

Punjab, India

ik dhan ko ek dhan se alag kar luuñ aur gā.ūñ
sāñsoñ kā ik charāġh kahīñ dhar luuñ aur gā.ūñ
gandhār kī shuā chunūñ phir shuāoñ se
yāqūt sat.h-e-sañg se chun kar luuñ aur gā.ūñ
sar-chashma-e-vajūd ko hargiz na chheḌūñ maiñ
koyal se ik irāda-e-tevar luuñ aur gā.ūñ
bheroñ meñ din nikaltā dikhā.ūñ maiñ dahr ko
aur sub.h tak charāġhoñ kī lo kar luuñ aur gā.ūñ
aur phail jā.ūñ chāroñ taraf bāzgasht sā
lab par tirā vazīfa-e-azbar luuñ aur gā.ūñ
aur dasht mere saath rahe bahtā megh meñ
bārish meñ apne vāste ik ghar luuñ aur gā.ūñ
koyal pukārtī rahe jāmun ke peḌ par
man meñ kisī nafas kā subū bhar luuñ aur gā.ūñ
kalyān ke ujāle meñ phirtī hai shab kahīñ
maiñ shaam hī se kāñdhe pe chādar luuñ aur gā.ūñ
aa jā.ūñ apnī gardish-e-sayyārgāñ ko maiñ
chakkar pe ek dūsrā chakkar luuñ aur gā.ūñ
ye vaqt hai bahā.e hue kā.enāt ko
naddī kī lahroñ se koī jhālar luuñ aur gā.ūñ
rahtī hai bas-ki raakh zamānoñ kī taaq par
maiñ bhī charāġh-e-hijr kā chakkar luuñ aur gā.ūñ
jalne lage jo shahr to saarā uñDel duuñ
jā kar kisī kināre se phir bhar luuñ aur gā.ūñ
āñgan meñ jāgte haiñ gul-o-lāla raat bhar
maiñ bhī kisī ke kāñToñ kā bistar luuñ aur gā.ūñ
āvāz chaknā-chūr ho shor-e-lahad ke biich
sañg-e-mazār se koī Thokar luuñ aur gā.ūñ
milnā kisī se raḳhna-e-āvārgī to hai
mil kar kisī se dūsrā mehvar luuñ aur gā.ūñ
ruḳhsat ke vaqt TuuT gayā jo pahāḌ thā
siine meñ tere paañv ke kañkar luuñ aur gā.ūñ
lagne lagā hujūm-e-shar-angezī har taraf
yaksūī-e-ḳhumār ko hī sar luuñ aur gā.ūñ
jo jo parinda baiThā huā thā so uḌ gayā
pahlū meñ apnā ḳhālī sā pinjar luuñ aur gā.ūñ
din raat meñ baḌe baḌe aate haiñ inqalāb
lekin maiñ terā naam barābar luuñ aur gā.ūñ
jhukne lagī hai qaus-e-quzah sub.h-dam 'naved'
ye Tokarī gulāb kī sar par luuñ aur gā.ūñ
Top Urdushayar.com