āñchal meñ nazar aatī haiñ kuchh aur sī āñkheñ
chhā jaatī haiñ ehsās pe billor sī āñkheñ
rahtī hai shab-o-roz meñ bārish sī tirī yaad
ḳhvāboñ meñ utar jaatī haiñ ghanghor sī āñkheñ
paimāne se paimāne talak bāda-e-la.alīñ
āġhāz se anjām talak daur sī āñkheñ
le kar kahāñ rahtī rahī motī sī vo sūrat
le kar kahāñ phirtā rahā meñ gor sī āñkheñ
vaqt aane pe aa.ī na nazar gardish-e-aflāk
baiThā rahā le kar maiñ kisī aur sī āñkheñ
tabdīlī tire dekhte rahne se ye aa.ī
bin baiThīñ tasalsul se tire tuur sī āñkheñ
bil-farz nikal jā.ūñ kisī andhe safar par
bāñdhe hue rakhtī haiñ mujhe Dor sī āñkheñ
har baar kināre se lagā kar chalī jaa.eñ
dhuñdlāhaToñ meñ ġhamza-e-filfaur sī āñkheñ
kyā jaane 'naved' aur hī kar jaa.eñ ujālā
qirtās-e-farozāñ pe tirī kor sī āñkheñ