mai se vo jām-e-jism hai jab se bharā huā
sar hai futūr-e-ḳhvāhish-e-shab se bharā huā
dil hai ki jāntā hai junūñ kā ma.aal bhī
sar hai ki phir bhī shor-o-shaġhab se bharā huā
ġhaflat-shi.ār dil pe koī raat Daal kar
jaatā hai mehr ġhaiz-o-ġhazab se bharā huā
dīvār-e-mai-kadā koī raste meñ aa ga.ī
varna ye jaam hai koī ab se bharā huā
haTtā nahīñ nigāh-e-alamnāk se kabhī
chehra koī ḳhumār-e-tarab se bharā huā