sayyārgāñ kī shab meñ zamīñ sā diyā to hai
ye ḳhaak ajnabī sahī rahne kī jā to hai
āvārgī kā bojh thā is ḳhaak par bahut
lekin hazār shukr ki ham se uThā to hai
ye arsa-e-hayāt agarche hai kam magar
paañv kisī maqām par aa kar rukā to hai
ma.alūm hai mujhe ki tamāshā to kuchh nahīñ
lekin hujūm meñ kahīñ tū bhī khaḌā to hai
galiyoñ kā shor-o-ġhul hai mire saath aaj bhī
vo din guzar ga.e magar āvāz-e-pā to hai
vo rahguzar mahaktī hai ḳhush huuñ ye jaan kar
gar maiñ nahīñ to kyā hai koī dūsrā to hai
ye bhī ma.āl-e-ḳhvāhish-e-dil hai ki aaj vo
bādal ko dekh kar sahī chhat par chaḌhā to hai
aa jā.egā 'naved' vo ik roz raah par
achchhā hai apnī raah se bhaTkā huā to hai