dhanak meñ sar the tirī shaal ke churā.e hue
maiñ surma.ī thā sar-e-shām gungunā.e hue
samay kī lahar tire bāzuoñ meñ le aa.ī
havā meñ bahr tirī saañs meñ samā.e hue
tamāniyat se uThānā muhāl thā mash.al
maiñ dekhne lagā thā us ko sar jhukā.e hue
sahar kī guuñj se āvāza-e-jamāl huā
so jāgtā rahā atrāf ko jagā.e hue
thā baaġh baaġh shuā-e-safed se shab bhar
gulāb-e-abyaz-e-ruḳh thā jhalak dikhā.e hue
ḳhumār-e-qurmuzī se ātishīñ thā sāġhar-e-ḳhvāb
bharā thā muñh tire jāmun se baada laa.e hue
anaar phūTte the niiñd ke samundar meñ
vo dekhtā thā mujhe phuljhaḌī lagā.e hue
dikhā rahā thā mire pāniyoñ se shahr-e-visāl
koī charāġh sā andar thā jhilmilā.e hue
havā ke jhoñkoñ meñ jā kar use maiñ pī aayā
rahā vo der talak jām-e-mai banā.e hue
ye terī merī judā.ī kā naqsh hai bādal
baras rahā hai ba-yak-vaqt vaañ bhī chhā.e hue
mutābaqat se rahā tab.a ke alaav ko
kahīñ jalā.e hue aur kahīñ bujhā.e hue
hinā.ī haath se lag kar sajī kuchh aur 'naved'
mirī añgūThī thā arse se vo gumā.e hue