Afzal Naved

subu uThaun to pine ke bich khulti hai

Afzal Naved

Punjab, India

subū uThā.ūñ to piine ke biich khultī hai
koī galī mere siine ke biich khultī hai
tamām raat sitāre talāsh karte haiñ
vo chāñdnī kisī ziine ke biich khultī hai
tū dekhtā hai to tashkīl paane lagtā huuñ
mirī bisāt nagīne ke biich khultī hai
giraft-e-hosh nahīñ sahal dast-bardārī
girah ye saḳht qarīne ke biich khultī hai
kināra-e-mah-o-anjum jahāñ tilak bhī ho
ye raushnī isī jiine ke biich khultī hai
na bādbān koī aur na rūd-o-samt-o-sukūñ
to kis kī khīñch safīne ke biich khultī hai
rukūñ to dekh sakūñ āsmān kī khiḌkī
jo ek baar mahīne ke biich khultī hai
zarā sā aur bhī kiina ai kīna-parvar-e-jāñ
mirī nazar tire kiine ke biich khultī hai
ye kaun chhoḌ gayā hai maqām-e-asl 'naved'
ye kis kī baas dafīne ke biich khultī hai
Top Urdushayar.com