Afzal Naved

na rona rah gaya baqi na hansna rah gaya baqi

Afzal Naved

Punjab, India

na ronā rah gayā baaqī na hañsnā rah gayā baaqī
ik apne aap par āvāze kasnā rah gayā baaqī
hamārī ḳhud-farāmoshī ye duniyā jaan jā.egī
zarā sā aur is daldal meñ dhañsnā rah gayā baaqī
havas ke naag ne din raat rakkhā apne changul meñ
bahut khelā hamāre tan se Dasnā rah gayā baaqī
kisī ke pyaar kā qissa adhūrā chhoḌ aa.e ham
ulajhnā ḳhud se aur har dam tarasnā rah gayā baaqī
kisī ko rashk aa.e kyuuñ na qismat par hamārī ab
ujaḌ aa.e haiñ har jānib se basnā rah gayā baaqī
kisī kī aañkh ne ḳhvāb-e-tahayyur taan rakkhā hai
'naved' us dām-e-yaktā.ī meñ phañsnā rah gayā baaqī
Top Urdushayar.com