Afzal Naved

bagh kya kya shajar dikhate hain

Afzal Naved

Punjab, India

baaġh kyā kyā shajar dikhāte haiñ
ham bhī apne samar dikhāte haiñ
aa tujhe be-ḳhabar dikhāte haiñ
hālat-e-nāma-bar dikhāte haiñ
kuchh mazāhir haiñ jo nagar meñ hameñ
dūsrā hī nagar dikhāte haiñ
rūh-e-mutlaq meñ ishq jazb huā
arsh kā kaam kar dikhāte haiñ
ḳhud to pahuñche hue haiñ manzil par
paañv ko dar-ba-dar dikhāte haiñ
ham ko matlūb ḳhud se jaanā hai
vaañ nahīñ haiñ jidhar dikhāte haiñ
kitnā phailāv raqs-e-āb meñ hai
apne sar se utar dikhāte haiñ
aa dikhāte haiñ tujh ko apnā aap
aur dil khol kar dikhāte haiñ
aa karāte haiñ sair-e-dil tujh ko
aa tujhe bahr-o-bar dikhāte haiñ
jab dikhānī ho raunaq-e-raftār
vo yahāñ se guzar dikhāte haiñ
uThte paanī sī lahr lene se vo
sar se pā tak kamar dikhāte haiñ
kaun sūraj hamārī āñkhoñ ko
ḳhvāb-e-shām-o-sahar dikhāte haiñ
rāh-e-dushvār jab nahīñ kaTtī
vo koī baat kar dikhāte haiñ
mat uThā ab koī na.ī dīvār
ham tujhe apnā sar dikhāte haiñ
chāñdnī kyā kahīñ pe bikhregī
tere dar par bikhar dikhāte haiñ
dekh ik tañgī-e-qayāmat-ḳhez
ham tujhe apnā ghar dikhāte haiñ
bām-e-aflāk se utaar hameñ
haath par diip dhar dikhāte haiñ
asl ruḳh kā nahīñ hai ushr-e-ashīr
jo hameñ chāra-gar dikhāte haiñ
kuchh to mazmūñ bane-banā.e haiñ
aur kuchh bāñdh kar dikhāte haiñ
ġhamza-hā-e-pas-e-nazzāra 'naved'
ham ko rāh-e-safar dikhāte haiñ
Top Urdushayar.com