Afzal Naved

KHumar-e-shab mein zamin ka chehra nikhar raha tha

Afzal Naved

Punjab, India

ḳhumār-e-shab meñ zamīñ kā chehra nikhar rahā thā
koī sitāroñ kī pālkī meñ utar rahā thā
nahā rahe the shajar kisī jhiil ke kināre
falak ke taḳhte pe chāñd baiThā sañvar rahā thā
havā.eñ dīvār-o-dar ke pīchhe se jhāñktī thiiñ
dhuāñ lapeTe koī galī se guzar rahā thā
khaḌā thā merī galī se bāhar jahān saarā
maiñ ḳhvāb meñ apne aap se baat kar rahā thā
havā kā jhoñkā udaas kar ke chalā gayā hai
abhī abhī to maiñ jām-e-ġhaflat ko bhar rahā thā
aur ab Thahar jā 'naved' aage to kuchh nahīñ hai
tū umr bhar is ḳhayāl se be-ḳhabar rahā thā
Top Urdushayar.com