Kishwar Naheed

mujhko daryuza-gar-e-KHwab bana deta hai

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
mujh ko daryūza-gar-e-ḳhvāb banā detā hai
jab bhī aatā hai mirī pyaas baḌhā detā hai
pūchh letā hai mirā haal vo dīvāroñ se
apne hī haath se tasvīr banā detā hai
us ne sīkhā hī nahīñ ḳhvāb meñ rahne kā safar
aisā koī nahīñ jo aa ke jagā detā hai
shaam hote hī sañvartā hai mirī āñkhoñ meñ
ye nazāra hī mujhe aag banā detā hai
aa.ina DhūñD hī letā hai mujhe āḳhir-kār
lutf-e-tā.īd mujhe tujh se sivā detā hai
Top Urdushayar.com