sāñsoñ ko karb ziist ġham-e-be-panāh ko
kis kis ko mutma.in maiñ karūñ ḳhvāh-maḳhvāh ko
sūraj ke paar dekh sako gar mirī tarah
tab jā ke pāoge mirī hadd-e-nigāh ko
maiñ is fareb-gah meñ vo ādam-gazīda huuñ
DhūñDe hai jo añdheroñ meñ jā-e-panāh ko
apnā na maiñ huā to bhalā kaun hai mirā
apnā.e kyuuñ koī kisī gum-karda-rāh ko
maiñ hādsoñ kī bhiiḌ meñ tanhā khaḌā huā
āvāz de rahā huuñ kisī ḳhair-ḳhvāh ko
saaya bhī ham-qadam na mirā ho isī liye
ḳhātir meñ laayā maiñ na kisī intibāh ko