karb vahshat uljhaneñ aur itnī tanhā.ī ki bas
jaane kyuuñ taqdīr ne lī aisī añgḌā.ī ki bas
jab kabhī bhūle se bhī ā.īna dekhā tere ba.ad
apnī hī sūrat meñ vo sūrat nazar aa.ī ki bas
toḌne jab bhī chalā zindān-e-āb-o-gil ko maiñ
jānī-pahchānī huī āvāz ik aa.ī ki bas
chilchilātī dhuup ġham kī hādsoñ ke sā.ebāñ
soch kā taptā ye sahrā aur ye purvā.ī ki bas
kaash nā-bīnā hī rahtā is muqār-ḳhāna meñ
tohfatan duniyā ne dī hai aisī bīnā.ī ki bas
nochtī kab tak raheñgī yuuñ barahna ḳhvāhisheñ
tā-ba-kai hotī rahegī aisī rusvā.ī ki bas
maiñ huuñ ai 'hamdūn' ik zinda giraftār-e-lahad
apnī hī taqdīr se Thokar vo hai khaa.ī ki bas