Hamdoon Usmani

ek mujassam dard hun ek aah hun

Hamdoon Usmani

ik mujassam dard huuñ ik aah huuñ
phir bhī zeb-o-zīnat-e-afvāh huuñ
maiñ ne duniyā kī pasand oḌhī nahīñ
kuchh bhī huuñ phir bhī to haq-āgāh huuñ
sadd-e-lahm-o-ustuḳhvāñ hote hue
har nafas ab bhī tire hamrāh huuñ
karb vahshat ġham masā.il ke tufail
aaj tak zinda ba-hamdillāh huuñ
mere naqsh-e-pā se nikle rāste
log phir bhī kahte haiñ gumrāh huuñ
parvarish paatī hai jis se tīrgī
maiñ vahī farzand-e-mehr-o-māh huuñ
mai-kade kī rah se tujh ko pā liyā
log kahte haiñ ki maiñ gumrāh huuñ
Top Urdushayar.com